Tarain ka dusara yuddh 1192//prithviraj ki prajay ke karan//mohmmad gori ki vijay ke karan // rajput ke patan ke karan

Tarain ka datiya yuddh--- San 1192 me tarain ke datiya yuddh ko bhartiya itihaas ke yuvati kari ghatna manna uchit hai yah yuddh mohammad gori or prithviraj chohan ke bich me huaa jisme chohan ki parajay hui is yuddh me dilhi saltanat ka marg kar diya| 
Tulanatmak sainya sakti-----
 1. Mohammad gori--- mohammad gori ki sena me 120000 loh kavach v hathiyaar yukt sainik the | 
 2. Prithviraj chauhan---- Phairsma ke anusaar---- 300000 ghudsavaar 3000 hathi ,bhari sankhya me paidal sainik the|

 prithviraj chauhan ka sany abhiyaan----- parajit satru mohammad gori ko punah yuddh ke liye aata huaa jankar prithviraj chauhan ne shighrata ke sath uae dusri har ka maja chakhne ke liye apne sahyog anya bhartiya rajaon ko madad ke liye guhar lagai or soym tayari karne laga phir prithviraj chauhan ne jayse taiyar shighrata se apni sena tayar karke saraswati nadi ke tat par pratham tarain yuddh (1191) ki yuddh chhetra ke samip aapna sainya shivir sthapit kiya|
   prithviraj ki sainik chhamta ko dekhte huye is var Surakchha tamam sthiti ke liye tayar ho gaya or Rajputana shakti se vanchit tha kintu anad ghati se ane me use kahi rukavat nhi hui
   gori prithviraj ki sena se 10km ki duri par rukawat apni sany gatividhi ki yojna banane laga prithviraj ne gori par apna dhaba bolkar nast karne ki jagah use chetavani dene ke liye sandesh bheja is chetavani me usne gori ko bhartiya rajputon ka prakram avam saniya ki yaad dilai or use tatkaal apne desh laot jane me hi uska hit batlaya sath hi usme akraman hetu yahan ane ke liye kshama kar dene ka bhi sandesh diya|
Mohammad gori ki kutnitik saniya yojna----- Mohammad gori ko bhartiya rajaon ke sanyog se is var Prithviraj ki sany sakti tatha yojna ki pl pl ki jaankari mil rahi thi| gori rajput ki sakti se parichay tha kintu wah yah bhi janta tha ki is var prithviraj ki sakti itni nhi rah gai hai chuki vastvik yuddh star se dur rahkar sari suchnao ek trik kr li thi| atah: prithviraj ke chetavani sandesh ka usne badi chalaki se utaar diya|
                 gori ne prit sandesh bheja ki shree man ne aapki udaravadi niti ka aadar karta hua aap vastav me nishthavan Parakrami bhartiya sanskriti ke sanrakshak maharaj hai kintu me gaur saltanat ka sarve sabha sultan nahi hu me aapka sandesh aapne bhai v gaur ke sultan usubdin ke pass anumati v aadesh prapt karne ke liye bhej raha hu ki vah aapse is sart par samjhauta karne ki anumati dene ki bhatinda panjab or mullaon gaur shasan ko mil jaye tatha shesh bharat par hindu rajaon ka adhikaar rahe| jb tak hume aapne bhai se koi uttar na mila jaye tab tak aap yuddh neelam bit rakhe|
             prithviraj gori ki is krur chal me phas gaya| usne gori ki is baat par visvash karke yauddhik tayari band kar di or aapne sany shivir me asthir pad gay|

Samarik sanrachna----- prithviraj chauhan ki sany sankhya is bar kam thi or aninrnay ki isthiti me pade rahne se prithviraj chauhan ke sainik hadbaday avam ghabraye huye bina kisi thosh rachna vyuh rachna bhid ki tarah yuddh ke morcha par dat gay the hindu sainikon ki din charya pratah: puja v bhojan aadi karke yuddh ke liye tayar hona hote tha kintu is bar un par dhokhe se aakraman kar diya gaya tha prithviraj ki sena ka aagr bhag ka netritva gobind rao ke adhin tha| prithviraj tatha sahyogi rajaon ki tukdiyaa madhy bhag avam vajuo par tainat thi|
                               Mohammad gori ne is bar puri tayar ke sath kaphi soch samjh kar sudarshan sainy virchna ka nirmaan kiya tha| uski sena aagrbhag, madhy bhag, vaya bhag, daya bhag, Prishth bhag  Me kanvachit ghudasavar sena me vibhakt thi| das das hajar ki dhanurdhar ghudsavaar sena jo halki v gati sheel thi aage day, bay v madhy me laga rakhi thi tath sab se pichhe 12000 bhari kavach yukt ghudsavaar sainik jo mukhy pharak sainik the khade huy the|

Shree ganesh----- shit reetu ki pratah vela abhi adhikansh rajput sainik aakraman ki bhavna se pare dainik kirya me sanlagn the ki achanak un per gori ne ki sena ne aakraman  kar diya| Aashchary chakit karne ke yuddh siddhant me gori ki yojna safal rahi|
gori ki halki dhundhti  ghudsavaar sena rajput sainiko ke pass aane par teji se pichhe lot aati thi ek ke baad ek tukadi rajput ki sena par van ka prahaar kar unhe ghaayal karne ke sath sath thakan me safal rahi |
               is tarah pratah  kal se lekar teesre pahar tak gori ki halki dhnuadhri ghudsavaar sainiko ne rajput sainiko ko atyadhik thaka dala bhukhe pyase hindu sainikon ke hath abhi turki sena nhi lag pai thi yadunath sarkaar ke anusaar is sangram  me hindu sainikon ko khali pet ladna pada tha |
               mukhya prahaar sainik  tukadi ke rup me gori ki kvchit  12000 uch shreni ke ghudsavaar sena ne bhayanak aakraman kar diya din bhar ke thake bhukhe rajput sainikon ne asnbhav sahas ka parichay dete huye bahut der tak Sangharsh kiya antatah: vah htahat ho gay agr bhag ke netritv karta Govind rav ke viragati paryaapt karne par syam prithviraj chauhan ne ghode par savar hokar march sambhala or turki sena ko lalkaar kintu ab tak hindu sena ki atyadhik shati ho chuki thi rajput sena par kadian prahaar hone lage to vah bhayavah bhagne lage prithviraj ka ghoda inhin ke bich ja fash or mahan Parakrami senapati prithviraj pakda gaya maharaj ke adhkansh sahyogi raja is yuddh me mare gay prithviraj ne pratham tarain yuddh (1191) me gori ko kshama dan diya tha kintu gori ne yasi  galti nhi ki prithviraj ko bandi banne ke baad uska badh kar diya gaya|

Yuddh ka parinaam---- tarain ka dusara sangram Nirnayak siddh huaa is yuddh ae rajputo ki sakti ka purntah vinaash ho gaya sath hi sath bharat me musalmaan ke samrajya ki sudridh niv padi is vare me vimment smith ne kaha hai ki tarain ka dusare sangram ek nirnayak sangram tha kuki isme bharat me musalmaan ke samrajya ki niv rakhi gai iske pashchaat musalmaano ko jo anek vijay prapt  hui to hinduon ke sangathit us mahan parajay  ka parinaam matr thi jo unhe dilhi ke utaar me simit yuddh bhumi me bhugtani padi|

Rajputon ke patan ke karan---- turki aakraman kari mohammad gori ki vijay ka mukhya karan rajputon ki aur drashta a kushal rajniti aapsi phod, jati bad tatha rashtyata  ki andekhi ko dekh sakte hai phir bhi is yuddh me rajput nimn karno se parajit huy|
  1-- sajakta  ki upeksha----- prithviraj chauhan dora mohammad gori ko 1191 is vi me tarain ke pratham sangram me parajit karne ke uparant turki shatru se prithviraj bekhabar ho gaya|
  2-- chetavani sandesh--  prithviraj chauhan dora mohammad gori  ke sarhinde  pr adhikaar ke uparant  tarain ka pratham yuddh huaa is yuddh me mohammad gori ko aapman ka ghut pina pada is apmaan ka badala lene jab tarain ke matdaan me gori punah pahuncha to prithviraj chauhan ne apni sakti or pratham vijay ka havala dete huy use lot jane ko kaha jo ki ek or jaha yaha chauhan ki suraksha kamiyon ko darshata hai| vahi dusre or prithviraj chauhan ke a vivek ko pardarshita karta hai yah prithviraj ki dusri sabse badi galti thi jisme unka bheja huaa sandesh gori ke liye chetavani sandesh me badal gaya jisse gori apni kut chal ko safal vana saka or tarain ke dusara sangram me vijay huaa |        3--- bharat me raja harsh ke pashchaat kbhi bhi rajnitik rup se ek naa hua kendriy sakti ke abhav me bharat chote chote rajay me bat gaya tha ve rajy apni swarth purti tatha varchasv ke liye aapas  me yuddh kiya karte the chuki isi ap shi phod ka phayda udakar aakrmankari ek ke baad ek rajy ko parajit karte chale gye isse prithviraj chauhan bhi na vach sake                  4--- samaajik kuritiyon--- kisi desh ka aatm bal uski samajik vyavastha me nihit rahta hai durbhagya rajput kalin bhartiya samaj anek Sankirtan o se ghir chuka tha jisme andhvishwas, bhagy baad jativad aadi pramukh the iske alaava rajput me buraiyan payda ho gai thi jisme bhartiya samaj ko turki ke adhin hone me sahaayata pardan ki|

Comments